• 5 years ago
Bura hi kya tha jo aap apni misal hote kamal hote
Kisi tarah se jo tute rishte bahaal hote kamal hote

Ye laila majnun ye hir ranjha ye shirin farhad ki mohabbat
Thi aisi shiddat kahin jo un ke visal hote kamal hote

Padha nahin tha nisab-e-ulfat amal mein aage the har kisi se
Samajhti duniya agar hamein be-misal hote kamal hote

Wo mujh se milta khamosh rahta khamoshiyon par hi dad pata
Magar jo nazron se munfarid se sawal hote kamal hote

Ye kya ki tanhaiyon se rishta bana ke khud ko ganwa liya hai
Sama ke mujh mein jo aap mera jamal hote kamal hote

Jise bhi dekha usi ko dawa-e-husn karte suna gaya hai
Jahan bhar mein hasin agar khal-khal hote kamal hote

Nasib apna sukhnawaron mein hamari ginti na ho sakegi
'umar' adakar hum agar ba-kamal hote kamal hote

Category

📺
TV

Recommended