• 5 years ago
Hazrat Qasim Ka New Noha 2020 by Mesum Abbas for Muharram. Written by Mir Hilal (India ). Composed by Raza Shah.

#Qasim #MesumAbbas #Nohay2020

►NOHA LYRICS BELOW

►Subscribe to this Channel : http://bit.ly/MesumAbbasOfficial

Noha Credits:
Kalam: Hogayi Dair Mujhe Qasim (as)
Nohakhwan: Mesum Abbas - میثم عباس
Poet: Mir Hilal (India )
Composer: Raza Shah
Audio Sound Engineer: M. Ishaq Nazir (Audio-Five)
Audio Mixed & Mastered: M. Omar Qureshi (ODS)
Directed by David Garcia
D.O.P: Will DeJessa
DIT: Ali Bilal
Video Post-Production: Ali Arman Baltistani (TNA)
Backing Vocals: Sonu - Monu - Rajab Ali - Munawwer Ali
Graphics Team: Yawer Damani (YAD), Junaid Qureshi (JQ Productions)
English Subtitles: Ahmed Virani
Label: Goldenn Records
Social Media: Azaad Media
Chief Organizer: Syed Baqar Naqvi

►NOHA LYRICS

Haye Qasim, Haye Qasim

Sheh Ne Rotay Huay Qasim Se Kaha, Hogayi Dair Mujhe Aane Mai
Tujhse Sharminda Hai Beta Ye Chacha, Hogayi Dair Mujhe Aane Mai

● Kal bahattar they giray qalbe Hasan ke tukre
Hai hazaaron mai yahaan tere badan ke tukre
Aaj phir mara gaya Bhai mera… Hogayi Dair Mujhe Aane Mai

● Hogayi ho jo kabhi farz nibhaane mai kami
Jaake Baba se shikayat nahi karna meri
Milke unse mai kahoonga bhi to kya…

● Baariyan leke udu ghoron ko dauraate rahe
Aur mai tujhko bacha paya na pamaali se
Tu sadaaon pe sada deta raha…

● Kaash maqtal mai jo kuch pehle mai aya hota
Aaj dulha meri beti ka bhi zinda hota
Kaise Kubra se kahoonga mai bhala…

● Iss qadar jism tera bikhra hua tha beta
Jabaja khaak pe maqtal ki mai chunta hi raha
Phir bhi tu poora mujhe mil na saka…

● Rakh ke ghatri mai jo le jaaonga lasha tera
Maa jo pooche gi kahan rehgaya beta mera
Kaise maa ko teri batlaaonga…

● Kaisi naushah ki ghurbat thi Hilal aur Mesum
Laash ke tukre tadapte they zameen par peham
Jab ye kehte they Shahe Karbobala…

************************

New nohay video by Mesum Abbas reciting Hogayi Dair Mujhe (Official Video). © ℗ 2020 Mesum Abbas / Azaad Media / Goldenn Records.

Category

🎵
Music

Recommended