Darakht Purasraar Hotey Hain { Yasira Rizvi } *Subh-E-Pakistan *

  • 4 years ago
Woh Kehta Hai Ke Darakht Purasraar Hotey Hain
Deewana Waar Barhte Hain Par Wafadaar Hotey Hain
Mehaz Evez Paani Kharre Rehte Hain Saibaan Ban Ke
Darakht To Jaanisar Hote Hain

Samandar Main Bhi to Kai saaz Hote Hain
Aur Unn Main Pinhaan Unginat Raaz Hote Hain
Chaand Cherrta Hai Lehron Ko Kabhi Barh Kar Kabhi Ghath ke
Safar Dhalti Jawani Ke Barre Dushwar Hote Hain

Raaste Darbadar Bhatkain Ya Kisi Gaon Ko Niklain
Yeh Kyun Khamosh Hote Hain
Haqeeqat Jaanke Bhi Barre Purjosh Hotey Hain
Dil Ki Dehleez Se Jaane Wale Uss Ke Aane Ki Khabar Laane Wale
Raaste To Woh Hote Hain Magar Pur-Khaar Hote Hain
Jo Inn Pe Door Chalte Hain Wohi Jeedaar Hote Hain
Naseeb Unn Barhana Qadmon Ko Hi Deedar Hote Hain

Aur Phir Dil-e-Jaanan Ka Darwaza Jo Har Waqt Band Rehta Hai
Baarish Main Bheeq Jaata Hai Aur Karri Dhoop Sehta Hai
Woh Jiske Peeche Mumkinaat Ke Anbaar Hote Hain
Chand KHushiyaan Aur Kai Azaar Hote Hain
Dil Ko Loot Lete Hain Ajab Dildar Hote Hain
Woh Jinki Sharam Ke Taabe Sabhi Ashaar Hote Hain
Dharkne Daurr Parti Hain Jine Sawar Hote Hain

Inhin Safinon Ke Beech Main Ek Badbaan Mera Bhi Hain
Woh Kush-Guftar Kehta Hai To Mehrban Mera Bhi Hai

Samandar Be Aitebaar Hote Hain
Darakht Kai Hazar Hote Hain
Rate Intezar Hote Hain
Darwaze To Beshumar HOte Hain
Jo Teri Aankh Pe Ubhrain, Jo Tere Rukh Pe Phalain
Sach To Meri Jaan Bass Wohi Inkaar Hote Hain
Jo Be Ikhtiyaar Hote Hain
Barre Laachaar Hote Hain.....
{ YASIRA RIZVI }

Recommended