• 7 years ago
Allah kareem na Hazrat Uzair A.S ko aik basti ki taraf chalna ka hukum dia jab wo wahan pohncha to basti veeran or ba abad the Hazrat Uzair A.S ya dakh kar heeran hoye ka mjhe yahan kis liye bheja giya ha woh kahna laga ka Allah is basti ko kase Abad kare go or mere mout ka bad Allah mjhe kasa zinda kare ga to Allah na un ko bhe 100 sal tak ki mout da di Allah na neend ki halat ma un ki rooh qabaz ki the jo wo soye the to subah ka waqat tha or jab dobara indagi mile to asar ka waqat tha unhe is bat ki khabar he na the ka un ko 100 sal ka arsa guar chuka ha jab Allah na un sa pocha to unho na jawab dia ka ma aik din ya din ka kuch hisa soya raha hon ga Allah na farmaya ka apna khana or gadhe ko dakho khana bohat jald kharab ho jata ha lakin 100 salguarna ka bawajood bhe khana bilkul taza tha jab ka ap ka gadhe ki hadiyan bilkul bikhre hoe paren the achanak un ka samna hadiyan dakhte he dakhte harkat karna lagen or phir jurna laga gadhe ka dhancha tiyar ho giya phir us par gosht charhnay laga is taraha gadha zinda ho giya or awaz dana laga ya dakh kar Hazrat Uzair A.S pukar uthe beeshak mera parwardigar har che par qadir ha un ki us arzi mout ka dooran wo basti abad ho chuke the unho na basti ka logo sa pocha ka kia tum uair ko jante ho unho na kaha han unhe to fout hoye 100 sal guar chuke han tab Hazrat Uzair A.S na un ko btaya ka ma hi uzair hon unhe is bat ka yaqeen na aya wo aik burhya ko la aye jis ki omar 120 sal thi unho na us burya sa Hazrat Uzair A.S ka bare ma pocha us na Hazrat Uzair A.S ki 10 nishaniyan bayan ki unho na Hazrat Uzair A.S ko dakha to ab un ko yaqeen ho giya Hazrat Uzair A.S na un logo ko nae sira sa torait ki taleem di kun ka wo ise bhool chuke the basti wala un sa bohat mutasir ho gaye or un ki iaat karna lage is azeem mojza ki waja sa wo rafta rafta wo Hazrat Uzair A.S ko Allah ka baita samjhna laga ya burae nasal dar nasal yahodiyon ma pehlte gaye yahan tak ka aj bhe yahoodi Hazrat Uzair A.S ko Allah ka baita mante han ya log shirk karta han insan chahe kitna he Allah ka qareeb ho jaye kitna he naik ho wo Allah ka banda hi rehta ha wo kisi bhe bulandi par pohnch kar Allah ya Allah ka baita nae hoakta Allah ka shareek nae ho sakta jasa ka Allah farmata ha ka na wo kii ka beta ha or na koe is oulad ha or na he koe is ki barabari ka ha

Recommended