Dharti Meri Shan Hai Tu by Amjad Sabri

  • 8 years ago
Pakistani Qaumi Gulookar aur Naamwar Qawwal janab Amjad Sabri Aaj karachi mai Dehshat Gardi ki Zad mai Aake Shaheed ho gaye, Amjad Bhai ne Na Sirf Qawwali ki Sinf mai Apne Khandaan aur Watan ka Naam Sar buland kiya balke Unho ne Qaumi Naghmaat bhi gaa kar Watan-e-Aziz se Mohabbat ka Haq Ada kiya.
Yeh kaah jaye to be ja na hoga ke Qawwalon ne Sab se Pehle Kalam-e-Iqbal ko record karwa ke Pakistan ke liye Qaumi Naghmaat ko Mauseeqi se Hum Aahung karne ka Aghaz kiya. Meri Amjad Bhai se Arts Council ke Election mai ba hesiyat-e-Rukun Yadgaar Mulaqaten raheen aur guzishta saal Yaum-e-Difa ki Golden Jubilee par Mai ne Unhe Jang-e-Sitamber ke doran Ghuam Fareed aur Maqbool Sabri ke Jangi taranay nazr kiye to Woh heran reh gaye phir Mujh se Pak Fazaiyyah pe banaye gaye Ghulam Fareed Sabri Sahb ke QWaumi Transcription bhi maangi jo Mai ne BarWaqt di, tahum woh Masroofiyat ke baais Record na karwa sake aur Aaj Zulm ki Aandhi ne Unki Awaz bhi Khamosh karwa di :'(
Hum In Amjad Sabri sahb ki Shahadat ki Pur Zor muzammat karte hain aur Allah se Dua karte hain k Unke Ahl-e-Khana koS abr-e-Jameel Ata Farmaye Aaameen.
Amjad Bhai ka Aik KumYaab Qaumi Naghma jise Mohamamd Nasir Sahb ne 2011 mai Tehreer kiya tha August 2011 mai Pakistan Televsion Karachi se Pesh hua. Amjad Sabri Shaheed ko Khiraj-e-Aqeedat ke liye Yeh Naghma-e-Watan Aap Sab ki Nazar jis ka lafz Lafz Unki Hubbul Watani ki Gawahi deta Rahe ga.