Sarbjit Movie Review | Aishwarya Rai Bachchan,Randeep Hooda & Richa Chadda
Aaj cinemagharon mei Omung Kumar ki biopic film Sarabjit release ho gayi hai..Mary Kom ke baad omung ki ye dusri biopic film hai aur is baar bhi Omung ne ye sabit kar diya ki wo umada star ke nirdeshk hai, jinhe barikiyon ki achi parakh hai..Sachi ghatana par aadharit is film mei actor randeep Hooda ne Sarabjit Singh ke kirdar ko nibhaya hai jo ek garib kishan hai jisne galti se nashe ki halat mei Pakistan ke border ko paar kar liya tha aur Sarabjit ko aatankvadi samajhkar aajivan kathor karavas ki saja di gayi aur Pakistan ke jail mei Sarabjit ke saath sharirik aur mansik taur par hue atyachar ko film mei marmik tarike se pseh kiya gaya hai..Sarabjit ki maut Pakistan ke jail mei hi ho jati hai...jiski peeda ko Omung Kumar ne apni is biopic film ke zariye dikhaya hai..wahin film mei Aishwarya Rai ne Sarabjit ki behan Dalbir Kaur aur Richa Chadha ne Sarabjit ki patni Sukhprit ke kirdar ko nibhaya hai..film mei Aish apne bhai ko riha karane ke liye antim saas tak ladti dikh rahi hai wahin Richa Chadha ne ek pati ke bichadne ke dukh ko apne abhinay se byan kiya ahi..khoon ansun aur pasine ke saath film mei behan aur bhai ke lambe sangharsh ko dikhaya gaya hai..Randeep ke dard aur atyachar ko dekhna audience ek liye bht mushkil ho raha tha aur omung ne characters ki sachchai ko dikhane ke liye kisi bhi tarah ke bollywood masala ka istemal nahi kiya hai..jahan Sarabjit ke mansik aur sharirik dard ko dekhakr audience ke rongte khade ho gaye..iske alawa kaha ja raha hai ki Aishwarya Rai ne life time best performance di hai..apne young aur aged look ke saath Aish ne bbehatrin performance di hai..aur apne bhai ki rihai ke liye Jazbaa star ke saath kai powerful moment dikhaye gaye hai..bollywood celebs ne film ke sabhi characters ki jam kar tariff ki hai aur sabse zyada Aish ne tariff batori hai..well kul milakar Sarabjit great performances ke saath ek landmark film ban gayi hai jahan Sarabjit ki kahani ke madhyam se karoro Sarabjit jaise nirdosh logon ke dard ko film mei dikhaya gaya hai…
Watch The Video To Know More!!
SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8
Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/

Category
😹
Fun