• 8 years ago
A R Rahman To Get Top Japanese Culture Prize !

Singer aur music composer A R Rehman ki hunar ki chamak ab japan tak pahunch gayi hai aur apni madhur sangeet ke zariye A R Rehman ne Japan ke logon ke dilon mei bhi jagah bana li hai..aur ab sangeet ke zariye aeshiyai sanskriti mei utkrisht yogdan dene ke liye A R Rehman ko Japan ke Shirsh sanskritik samman Grand Fukuoka Prize diya jayega..is purushkar samman mei sangeetkar A R Rehman ko “From the Heart: The World of A R Rahman’s Music”. Vishay par public lecture dene ke bhi liye aamantrit kiya gaya hai..Fukuoka purushkar samitee ke sachivalaya ne Rehman ko Phillipini etihaskaar A R Ocampo aur Pakistani shilpkar Yasmeen lari ke saath is purushkar ke liye chuna hai..aapko bata de is annual prize ki sthapana 1990 mei Japan ke Fukuoka shehar mei ki gayi thi..jiske tehat ashiyai pratibha ko sammanit karna iska mukhya uddeshya hai..iske pehle bhi kai bhartiyo ko ye samman diya gaya hai jisme Sitar vadak Ravi Shankar, Nrityangana Padma SUbramanyam, Sarod Vadak AMzad Ali Khan ke saath kai naam aur hai..A R Rehman ne apni filmy career ki shuruwat Maniratnam ki film Roja se ki thi..aur sabse pehla break unhe Ram Gopal Verma ki film Rangeela se mili thi..uske baad unhone filmen jaise “Bombay”, “Dil Se”, “Taal”, “Lagaan”, “Rang De Basanti”, “Delhi 6”, “Rockstar”, “Highway” aur “Tamasha mei apne adbhut kshamta ka pradarshan kiya..film “Slumdog Millionaire” mei unhone Jai Ho song ko compose kiya tha jiske baad unhe antarrashtriya khyati mili..aur unhe Academy awards aur Golden Globe trophy award ke sammna se sammnait kiya gaya..well rehman ek multi talented kalakar hai..wo music composer ke saath saath singer, song writer aur music composer bhi hai..aur unhe National film award, Oscar award, Grammy award, Film Fare award ke alawa na jane kitne awards se nawaza ja chukka hai…



Watch The Video To Know More!!

SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8

Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/

Category

😹
Fun

Recommended