Mil Kar Taiz Chalao Pahiyyeh by Ahmed Rushdi

  • 8 years ago
Yaum-e-Mehnat Kash par Ahmed Rushdi ka Nayab aur PurJosh Qaumi Naghma jo Ahl-e-Watan ko Mehnat ka Walehana Andaz mai Dars dete huwe kehta hai "Mil kar Taiz Chalao Pahiyyeh aur Barhe Jhankaar"
Aaj pakistan Samet Duniya Bhar mai Mehnat Kashon ka Aalmi Din manaya ja raha hai, Mehnat Kash aur Mazdoor sirf Woh fard nahi jo hamare yahan raaij hai balke har woh fard jo Zehni,Ilmi, Qalmi Khidmaat anjaam dekar Mulazmat karta hai aur kisi bhi firm ka Aajir hai Woh mazdoor hai, Yahi is Naghmay mai Mehdi Zaheer Sahb ne bhi bataya hai ke
" Qalam jo rozi Kamaye Woh bhi hai Mazdoor
Mil ki paidawaar barhaye Woh bhi hai Mazdoor"
Yeh Qaumi Naghma 1975 mai Radio Pakistan Karachi se Saleem Gilani ki Mauseeqi mai nashr hua aur ab Nayaab ho chuka hai Is naghmay mai Ahmed Rushdi ka Chorus mai sath Asma Ahmed , Naseema Shaheen aur Iqbal Ali ne diya, Mere Patriotic Collection se Internet aur Social Media par Pehli baar Aap Sab ke liye :)
Yaqeen hai ke Aap mai se aksar ko yeh naghma yaad hoga aur NauJawanon ko bhi Yeh Naghma-e-Watan Pasand Aaye ga

Recommended