• 8 years ago
Jang-e-Sitamber ke Doran Radio Pakistan Karachi Transcription Service ki Jaanib se Pesh karda Mujahideen-e-Pakistan ke liye Aik Khubsurat aur Yadgaar Naghma jise Shehanshah-e-Ghazal Mehdi Hassan ne 13 Sept ko Sohail Rana Sahb ki mauseeqi mai record karwaya , is Naghmay ke Khaliq Janab Masroor Anwer thay , Sohail Rana Un dino Radio Pakistan Karachi se bhi wabasta thay aur Is Naghmay se Qabl Jang-e-Sitamber hi mai Taj Multani ki Awaz mai Qaumi Naghma " Aao Chalen Us Paar Maanjhi" ki Music bhi Tarteeb de chukay thay, Dono naghmaat hi Jang ke doran aur bad Behad Maqbool rahe, Khas tor Yeh Naghma jis ki Sada-e-Bazgasht Aaj bhi Har Saal Yaum-e-Difa ko aati hai
Is Naghmay ki Video 1968 mai PTV ne aik Live Show mai banayee Jis mai Audio Live Quality ki thi lekin Jang-e-December 1971 mai PTV ne Graphically doosri Video Tarteeb di Jis mai Pas-e-Parda Awaz Radio Recording hi ki Rakhi gye, Yeh video ab bhi aksar PTV se Nashr hoti hai lekin Social Media par Pehli baar Behtareen Sound Quality ke sath Aap Sab ke liye :)

Recommended