Aaj har jagah ek msg jo ki15 ramzan ul mubarak ko chingad sunaey deygy jis main fatwaey rizwiya ka hawala diya gaya hai, har whats app aur facebook ki zeenat bana hai..har log is baat say itnay zyada khauf zada hai ki unki bato say haibat 15 ramazan kay din kay liye saaf zahir hoti hai.
Bhaiyo ye baat haq hai ki aisa hoga par kab hoga iska khulasa nahi, han ye to tay hai ki is saal hi hoga aisa log keh rahay hai ye haq nahi hai aisa laghbag 15-16 saal pehlay bhi ho chuka hai jiska main khud gawah bhi hun us waqt bhi aisa hi baat udi thy aur log main afra tafri ka mahol tha...kaye log to namaz ada karnay bhi nahi gaye masjid main is chingad ki dar say, par aisa kuch nahi hua....ab agar hazrat imam ahmed raza (rehmatullah alaih) kay fatway par gaur kiya jaye to ye fatwa apnay us waqt likha tha jab apsay ye sawal kiya gaya tha waha bhi juma ka din 15 tariq ko hi padh raha tha us par apnay fatwa likha ki ye hoga par kab hoga ye pata nahi unko parda farma kar bhi kaye saal hogaye hai abhi tak aisa nahi hua agay kab hoga iski bhi khabar nahi jab ye baat kuch saal pehlay mere peer sahab hazrat afzalur rehman urf bhole miya sahab (rehmatullah alaih) jo ki hazrat sarkar fazle rehma (rehmatullah alaih) kay gaddi nasheen thay unsay puchi gaye tab apnay ek aur nishani batye ki ye jab hoga jab shaban ki do tariq ko chand grahan padeyga, ab shabn ki 2 tariq chali gaye aisa kuch nahi hua to isay ye baat sabit hui ki ye saal aisa nahi hona hai...ab dusray nuktay par atay hai ramazan ki 15 tariq ka zikr kiya gaya hai to duniya main 15 ramzan har jagah alag alag date ko padyga to phir ye kis tarah mumkin hai ki kuch logo ko alag din chingad sunaye deygy kuch logo ko alag din jab is nuktay pat gaur kiya gaya to phir peer zada pappu miya ganj muradabad sharif say ek bohat pyari hadees mili jo apkay samany pesh kar raha hu. Wo hades sharif nichay hai.
Hadees:
Hazrat Abu huraira (radiALLAHUanhu) farmatay hai ki huzur paak sal lal laho tala alaihi wasalam ne farmaya Islam garibo me shuru hua our akhiri zamane me garibo ke hi andr laut jyega jis tarah shuru hua tha es liye garibo ke liye khush khabri hai.
Ibne umar (radiALLAHUanhu) farmatay hai ki huzor pak (sal lal laho tala alaihi wasalam) ne farmaya Islam ki shuruwat garibo me hui thi our wo garibo me hi laut jayega jis tarah shuru hua tha....
our Islam 2 mazjido ,masjide nabvi our masjids haram ki taraf is tarah simat jyega jis tarah saap simat kar apne surakh me chala jata h.
(shahi Muslim,,,,,,,,, hadees no 58 kitabul imaan.)
Ab is hadees par gaur kiya jaye to ye wakya us waqt mumkin hai jab muslam ki tadad itni kam hojaygy ki sari dunya main kahi muslaman bachangaye hi nahi. Sab madina sharif aur makkah sharif tak mehdood rehjaygay...ab us waqt jab 15 ramzan hogy to chand ek sath sirf madina aur makkah kay muslamo kay liye hoga kyu ki dunya main koi muslman bachyga nahi....tab ye chingad sunate hi sab musalamn sajday main chale jaygay baki log halak ho jaygey....mujahy umeed hai ap logo ko meri baat samjh aye hogy...mere aap sab say guzarish hai ki is baat say darkar kar haybat kha kar Allah ki taraf sajda rez na ho kyu ki agar ap 15 ramzan kay dar say aisa kar rahay hai to uskay jatay hi jab ye wakya nahi hoga ap sab phir say gunaho main mubtela hojaygay, agar tauba karni hai to sachi toba kijye aur hamesha kay liye gunaho say nata tod kar apnay rab say nata jod lijye...beshaq hamara rab bohat zyda maaf karenay wala hai.

Category
🗞
News